kabhii muskura ke bhii dekh le | | merii mustaqil shab-e-taar ko, kabhii din banaa ke bhii dekh le
kabhii barq ban ke chamak bhii ja, kabhii muskaraa ke bhii dekh le
yah hai ishtayaaq ki intehaa, ki banaa huaa hooN Khud aainaa
kabhii merii hasrat-e-diid ko, sar-e-baam aa ke bhii dekh le
kisii roz jaan bhii daal kar, ise zindagii-e-davaam de
trii yaad dard to ban chukii, ise dil banaa ke bhii dekh le
tere ik ishaare pe kitne dil mile Khaak-o-KhooN meN Khushii-Khushii
maiN nisaar niichii nigaah ke, yah nazar uthaa ke bhii dekh le
mere jaayche meN hayaat ke, kahiiN koii ghar bhii Khushii ka hai
maiN nisaar tere a'taab ke, kabhii muskaraa ke bhii dekh le
mera dil bhii shamm-e-Khaamosh hai, ise baKhsh taabish-e-zindagii
kabhii apnii Khilvat-e-naaz meN, yah diyaa jalaa ke bhii dekh le
maiN ''siraj'' ashk nasiib hooN, yahii meraa ek ilaaj hai
tere jii meN aaye to bevafaa, kabhii muskaraa ke bhii dekh le
''siraj'' lakhnavi
__________________ |