Dil he jub jaan say juda ho ga
u jeay bhe tu jee k kia ho ga
lamha lamha teri judai main
kis qadar sabr aazma ho ga
kum na ho ge teri paristari
hum na hon gain tu dosra ho ga
moujzan dil main hai laho ki tarha
dard dil say kahen juda ho ga
teri yadon k bhool janay tak
zehra-e-ghum kaam kar choka ho ga
us nay hum say he jub nibha na ki
woh kise aur ka bhe kia ho ga
aaj pher zalzala sa hai dil main
ab khuda janay aur kia ho ga
Bazm apna bhe ihtasaab karo
tum say bhe kia koe bora ho ga
02 Moinss
Kat Hi Gai Judai Bhi Kab Ye Hua Ke Mer Gaye
Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye
Tere Leay Chale Thay Hum Tere Leay Theher Gaye
Tuu Ne Kaha To Jee Uthay Tuu Ne Kaha To Mer Gaye
Waqt Hi Kuch Judai Ka Itna Taweel Ho Gaya
Dil Main Tere Wisaal Ke Jitne Thay Zakhm Bhar Gaye
Hota Raha Muqabla Paani Ka Aur Piyaas Ka
Sehra Umad Umad Paray Darya Bipher Bipher Gaye
Woh Bhi Ghubar-e-Khuwab Tha Hum Bhi Ghubar-e-Khuwab Thay
Woh Bhi Kahin Bikhar Gaya Hum Bhi Kahin Bikhar Gaye
Raah Main Milay Thay Hum Raahain Naseeb Bann Gaeen
Tuu Bhi Na Apne Ghar Gaya Hum Bhi Na Apne Ghar Gaye
Koi Kinar-e-Aab-e-Joo Betha Hua Hay Sir'Nigoon
Kashti Kidhar Chali Gai Janay Kidher Bhanwar Gaye
Aaj Bhi Intizar Ka Waqt Hanoot Ho Gaya
Aisay Laga Ke Hashr Tak Saray Hi Pal Theher Gaye
Barish-e-Wasal Wo Hoi Saraa Ghubaar Dhul Gaya
Woh Bhi Nikhar Nikhar Gaya Hum Bhi Nikhar Nikhar Gaye
Aab-e-Muheet-e-Ishq Ka Beher Ajeeb Beher Hay
Tairay To Gharq Ho Gaye Doobay To Paar Utar Gaye
Itne Qareeb Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye
Woh Bhi Adeem Dar Gaya Hum Bhi Adeem Dar Gaye
Uss Kay Salook Per Adeem Apni Hayat-o-Maut Hay
Woh Jo Mila To Jee Uthay Woh Na Mila To Mar Gaye
JUDAI
MERI US KO SATATI TAU HOGI KHAYALON MEI MUJHKO BULATI TAU HOGI
SAR.E.SHAM CHAHT PAR JAA KAR
TERI MOHOBBAT K GEET GUNGUNATI TAU HOGI
PANGHUT PAR JAA KAR APNI SAHELIYUN KO
APNI MOHOBBAT K QISSE SUNATI TAU HOGI
MILE THAY RAAH.E.MOHOBBAT MEI HUM UN SE
YEH HAQEEQAT USAY YAAD TAU AATI HOGI
US BEWAFA NE PYAAR KA DIA MUJHKO DHOKA
AUR KHUD SE WOH NAZREN CHURATI TAU HOGI
05 noorz85
Qurbaton Main Bhi Judaai Kay Zamaanay Maangay,
Dil Wo Bay-mehar Kay Ronay Kay Bahaanay Maangay,
Apnaa Yeh Haal Kay Jii Haar Chukay Lut Bhi Chukay,
Aur Muhabbat Wohi Andaaz Puraanay Maangay,
Hum Na Hotay To Kisi Aur Kay Charchay Hotay,
Khalqat-e-Shehar To Kehnay Ko Fasaanay Maangay,
Dil Kisi Haal Pay Maanay Hi Nahi Jaan-e-'Faraz',
Mil Gaye Tum Bhi To Kya Aur Na Jaane Maangay
06 imran557
Teri Judai Se Bachnay K Hal Talaash Keron
Jo Teray Qurb My GUzrain Wo Pal Talaash Keron
Tera he naam Qalam ki Zubaan Ugalti hai
Mai Koi nazam likhoon ya Ghazal Talaash Keron
Azal se Teri Tamana hy Zeest Ka Hasil
Mai tujh ko Aaj my dhondo Ya Kal main Talaash keron
Haseen youn tu zamany my bhot hain Rifaat
Mager khaa se mai tera badal Talassh keron
07 angelhere
08 sweetchilli
Rothe hai tu ,tje ko manao kaise?
Haal-e-dil tje tu sunao tu sunao kaise
Chahat mai teri ajab is dil ka haal hua
Chah kar bi ksi ko sunao tu sunao kaise?
Tare bhi rooth kar jo zakham lage is dil per
Ab zinda rehne k lei khud ko manao tu manao kaise?
tere jane se rahi ankhon mai nami har pal
Ab labon par hansi ko sajao tu sajao kaise?
teri fursat ki jo chah ki thi is dil ne
Ab teri JUDAI k sadmoo ko uthao tu uthao kaise?
Teri Ankhon ki wo masti,teri Ankhon ki wo haya
Mai kisi gair ki Ankhon mai pao tu paon kaise?
Tu jo man jaye tu jan war do tujh par
Par is Muajze ko mumkin kar pao tu paon kaise?
CHor dia jis rah mai Akela tumne mujhe
Tumhe ye batao tu batao kaise?
TUmhe the is war k hum qabil
Tujh ko yeh samjhao tu samjhao kaise?
09 mariyakhan
usi din gher nahi aata jub aanay ko kahta hay
mager kya ruthna us sey,woh apni dhun may rahta hay
madarat-e-alum may woh nahi shirkut ka kuch qael
na apnay dukh batata hay na meray runj sehta hay
lab-e-khamoash,chasm-e- khushk kya samjhai gay tujh ko
jo barish dil may hoti hay,jo derya dil may bahta hay
mujhay tujh sey juda rakhta hay ur dukh tuk nahi hota
meray under teray jaisa yeh aakhir kon rehta hay
khyal-e-yaar abhi roashan ,abhi nazro sey ujhul hay
abhi yeh reshmi derya paharo may hi behta hay
10 zeename
dil mein jo aaya woh likh diya
kabhi milan kabhi judai likh diya......
pehli baar mile the yahan hum
un raahon ka naam manzil likh diya.....,
kiya tune tar tar mera daman
ja maine bhi tujhe bewafa likh diya......
ishq ka janoon thaa ya deewanapan
jo apni saanso ko tere naam likh diya......
teri judai hai ab mukaddar mera
is zindagi ka naam intzaar likh diya.......
dard-e-mohabat ke siva shayari hai kya
ja tera naam hamne gazal likh diya.....
dafan ho gayi har aarzoo seene mein
'sunita' ne jabse tujhe sanam likh diya......
12 Sarmadi Yeh kia keh sab se bayan dil ki halatain karni Faraz tujh ko na aain mohabbatain karni! Yeh qurb kia hai keh keh tu samne hai aur hamain Shumaar abhi se JUDAI ki sa'atain karni Koi khuda ho keh pathar, jise bhi ham chahain Tamaam umr usi ki ibadatain karni Ham apne dil se hain majboor aur logon ko zara see baat pe barpa qayamatain karni Milain jab unn se to mubb'ham see guftagoo karna Phir apne aap se sau sau wazahatain karni Yeh loag kaisay magar dushmani nibahatain hain Hamain to raas na aain mohabbatain karni Kabhi Faraz naye mausamon main ro dena Kabhi talash puraani raqabatain karni!!