Le chala jaan meri rooth ke jaana tera
aise aane se to behtar tha na aana tera
apne dil ko bhi bataoon na thikana tera
sab ne jaana jo pata ek ne jaana tera
tu jo aye zulf pareshaan si raha karti hai
kiske ujdeh hue dil me hai thikana tere
arzoo hi na rahi subh-e-watan ki mujhko
sham-o-gurbat hai ajab waqt suhana tera
tujhe aye maut seene se lagaa rakkha hai
kaam aata hai bure waqt me aana tera
Kaba-o-dair me ya chashma-o-dil-e-ashiq me
inhi do chaar gharo me hai thikaana tera
DAAG ko yun wo mitaate aur farmaate hai
tu badal daal hua naam purana tera.