Tera Hona Na Hona | | Meri Batoon Mein Kabhi Bay-Rukhi Ka ansar To Na Tha
Teray Honay Say Pehlay Yeh Dil Patther To Na Tha
Har Sank Nay Ek Darar Daali Mujh Mein
Jism Mera kabhi Seeshay Say Barh Kar To Na Tha
Dekh Aye Waqt Jhank Kar Apni Zaat Mei
Tera Hona Na Hona , Kabhi Barabar To Na Tha
Beh Jaatay Thay Ansoo Kabhi Har Ek Baat Pay
Jamma Maan Mein Ansooaon Ka Samander To Na Tha
Kyo Jala Kay Rakhtay Ho Diya Sham Dhalay
Teri Gali Mein Main Aaya Palat Kar To Na Tha
Ankhon Ki ZUban Say Waqif Thay, Jo Ja Na Sakay
Rok ka Mein Nay Kabhi Apna Hath Barha Kar To Na Tha
__________________ شروع گمان سے حقیقت کا سفر ھورھا ھے
راستے مل رھے ھیں مگر راستا کھورھا ھے |