Dunya ka khazana kyun chorain | | Marta hai koi to mar jaey,Hum apna nishana kyun chorain
Dil waley bachain dil apna,Hum teer chalana kyun chorain
Majhboor na ho tou Ishq hi kya,Maghroor na hoon tou husn hi kya
Tum hum ko manana kyun choro,Hum tum ko satana kyun chorain
Jo hum ko nasihat kartey hain,woh apna zamana dekh chukey
Hum per bhi jawani aai hai,Hum apna zamana kyun chorain
Dunya to humaray samney hai,Jannat ka pata kya,ho ke na ho
Jannat main chupi doulat kay liya,Dunya ka khazana kyun chorain |