teri ummeed main subah shaam kartay hain
umer iss aas pay apni tamaam kartay hain
rah main phool bicha dengay wafa k hum bhi
aa kay to dekh kia ehtmaam kartay hian
ab kisi aur say baton ko jee nahi karta
tu nahi hota to khud say kalaam kartay hain
jagtay hain, teri yadain jab tak nahi sotin
teri yaadon ka bara ehtraam kartay hain
dil-o-dil chaak huay teri talab main lekin
aey mohabbat tujhay phir bhi salam kartay hain
yeh rah guzar yeh samma aur yeh sonay saahil
intizaar ab bhi yeh saray makaam kartay hain
dil to pehlay hi soanp dyaa tha unkoo
ZINDAGANI BHI CHALO UN KAY NAAM KARTAY HAIN
__________________
Memories play a very confusing role.....
Make u laugh when u remember the time u cried 2gether!
But make u cry when u remember da time u laughed 2gether!