Khulii jo aankh tou vo thaa na vo zamaanaa thaa
dahakatii aag thii tanhaaii thii fasaanaa thaa
gamon ne baant liyaa mujhe yuun aapas mein
k jaise main koii luuttaa huaa Khazaanaa thaa
ye kyaa ke chand hii qadmon pe thak ke baith gaye
tumhein tou saath meraa duur tak nibhaanaa thaa
mujhe jo mere lahuu mein dhubo ke guzaraa hai
vo koii Gair nahiin tha yaar ek puraanaa thaa
Khud apane haath se "Shahzad" us ko kaat diyaa
k jis darakht kii tahanii pe aashiyaanaa thaa