Tere Sorat Nigahon Main Phirti Rahay Or Ishiq Tera Satai To Main Kia Karon | | Teri sorat nigahon main phirti rahay ishiq tera satai to main kia karon
Koi itna to aakar bata dai humain jab tere yaad aaee to main kia karon
Main nay khak-e-Nashman ko bosay diay or kah kar ya dil ko sumjha lia
Aashian bana na mera kaam tha koi bijli girai to main kia karon
Main nay mangi thee ya masjidon main dua main jisay chahta hon wo mujhay milay
Jo mera farz tha main nay pora kia ab khuda hi na chahay to main kia karon
Ishiq iman dono main tafreeq hai per inhi dono pay mera iman hai
Jo khuda roth jai to sajday karon or sanam roth jai to main kia karon
Tabish Kaan pori |