Ajao Laut K | | Khamosh palkon pa dariya ruka hai abi,
tumharay intizar mai aik lamha ruka hai abi.
Sadiyun ka faasla to tay kar lia hum nay,
sirf do qadmon ka safar ruka hai abi.
Waqt k sagar pa rawan ho tum yeh jan lo,
Tumharay piyar k liye ek shaks ruka hai abi.
Ajao k zindagi tamam na ho jaey meri,
baray ehtaman say moat ko taala hai abi,
Sadaein day day k be-awaz na ho jaon kahen main,
ajao laut k aik jumla meri zuban pa ruka hai abi.
__________________ Yasir |