Ghazal - Meray Janay k Baad............. | | Ghazal - Meray Janay k Baad.............<!-- google_ad_section_en d -->
<HR style="COLOR: #f9f9f9" SIZE=1><!-- google_ad_section_st art -->Kitni Azziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaaya Hoga
Meri Yaadoon Nay Ussay Khoob Rulaaya Hoga
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi
Uss Nay Chehray Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga
Socha Ho Ga Uss Nay Din Main Kaee Baar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh K Mitaaya Hoga
Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say
Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga
Raat K Beetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay
Tu Nay Takkiye Ko Bhi Seenay Say Lagaaya Hoga
Ho k Nidhaal Meri Yadoon Say Tu nay Jaana
Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga
Poocha Hoga Jo Kisi Ne Teray Halaat Ka Sabbab
Tunay Baaton Main Khoob Uss Say Chupaaya Hog |