Jab bhii hansne k zamane aaye
zakhm phir yaad puraane aaye
baar'ha unn ko manaya to hamein
rooth jane k bahane aaye
phir mujhe toot k chaaha uss ne
phir bicharne k zamane aaye
muskura ker hamein milne wale
zindagii bhar ko rulaane aaye
kitnii mehroom thii'n neendein unn kii
khuwaab bhii jin ko jagane aaye
terii chahat ne theherne na diiya
raah mein kitne thikaane aaye
tu nahii hai to hawa ka jhonka
ghar kii zanjeer hilaane aaye
dil bujha hai na jale hain khaimay
aap kyun jashn manane aaye ?
isii umeed pe jaago yaaro !
ab woh kis waqt najane aaye
raas aaya jinhein sehra moshin
unn kii qismat mein khazane aaye