Hallagulla 

sOs

Hallagulla


1# zeename Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Bankar
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Bankar
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Bankar
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Rahi Hoon Teri Bhoola Hua Vada Bankar
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
chupake chupake raat din aa.Nsuu bahanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
baahazaaraa.N iztiraab-o-sad-hazaaraa.N ishtiyaaq
tujhase vo pahale pahal dil kaa lagaanaa yaad hai
tujhase milate hii vo bebaak ho jaanaa meraa
aur teraa daato.n me.n vo u.Ngalii dabaanaa yaad hai
khii.nch lenaa vo meraa parde kaa konaa daffaatan
aur dupaTTe se teraa vo muu.Nh chhupaanaa yaad hai
jaan kar sotaa tujhe vo qasa-e-paabosii meraa
aur teraa Thukaraa ke sar vo muskuraanaa yaad hai
tujh ko jab ta.nhaa kabhii paanaa to az_raahe-lihaaz
hal-e-dil baato.n hii baato.n me.n jataanaa yaad hai
jab sivaa mere tumhaaraa koii diivaanaa na thaa
sach kaho kyaa tum ko bhii vo kaarKhaanaa yaad hai
Gair kii nazaro.n se bachakar sab kii marzii ke Khilaaf
vo teraa chorii chhipe raato.n ko aanaa yaad hai
aa gaya gar vasl kii shab bhii kahii.n zikr-e-firaaq
vo teraa ro ro ke mujhako bhii rulaanaa yaad hai
do-pahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye
vo teraa kothe pe na.nge paao.n aanaa yaad hai
dekhanaa mujhako jo bargashtaa to sau sau naaz se
jab manaa lenaa to phir Khud ruuTh jaanaa yaad hai
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddate.n guzarii.n par ab tak wo thikaanaa yaad hai
beruKhii ke saath sunaanaa dard-e-dil kii dastaa.N
aur teraa hatho.n me.n vo ka.ngan ghumaanaa yaad hai
vaqt-e-ruKhsat alvidaa kaa lafz kahane ke liye
vo tere sukhe labo.n kaa thar-tharaanaa yaad hai
<!-- google_ad_section_en d --> Hallagulla 

sOs

Hallagulla

4 # ~*pari*~
Diyar-e-ghair main kaise tujhe sada dete
Tu mil b jaata to aakhir tujhe ganwa dete Tumhi ne hum ko sunaya na apna dukh werna Dua wo kerte k hum aasman hila dete Hamen ye zoum raha ab k wo pukaren ge Unhen ye zid thi k her baar hum sada dete Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki K jis ko haal sunate usey rula dete Tumhen bhulana hi awal to dastaras main nahi Jo ikhtiyar b hota to kya bhula dete? Tumhari yaad ne koi jawab hi na diya Mere khiyaal k aansoo rahe sada dete Sama'aton ko main ta umer kosta "syed" Wo kuch na kehte magar hont to hila dete Hallagulla 

sOs

Hallagulla 
