aaya to kya??? | | saans jab rukne lagi,wo zer e daam aaya to kya
aakhri lamhon mein uska gar salam aaya to kya
kat gayee jab zindagi ki muntazir be noor raat
phir tumhare husn ka maah e tammam aaya,,to kya
bekhudi to shidat e aalaam hi se chha gayee
ab agar hisse mein apne daur e jaam aaya,to kya
hum ne sheron mein mujasim kar diya paiker tera
le ke ab tu vaada e deedar e aam aaya,,,,to kya
dosto raas aa gayeen JAZIB ko ye tanhaiyan
ab tumhari anjuman se gar payaam aaya,,,,,,,,to kya? |