Ussi tarah se har ik zakhm khushnuma dekhay
Woh aaye to mujhay ab bhi hara bhara dekhay
Guzar gaye hain boht din rafaqat-e-shab main
Ik umr ho gaye chehra woh chand sa dekhay
Meray sakoot se jiss ko gilay rahay kya kya
Bichartay waqt in ankhon ka bolna dekhay
Teray siwa bi kayi rang khush nazar thay magar
Jo tujh ko dekh chuka ho woh aor kya dekhay
Bas ik rait ka zarra bacha tha aankhon main
Abhi talak jo musafir ka raasta dekhay
Ussi se poochay koi dasht ki rafaqat---jo
Jab aankh kholay, paharon ka silsila dekhay
Tujhay aziz tha aour main ne us ko jeet lia
Meri taraf bhi to ik pal tera Khuda dekhay