Badal Gaya.. | | kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
ghar ki fiza makaan ka naqsha hi badal gaya
shaayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
manzil kay paas aakay jo rasta hi badal gaya
qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
us no bahaar naaz ka chehra badal gaya
aankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee
apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
amjad yeh kon shehar ka naqsha badal gaya |