jab bhe qareeb aata hoon bataney kay liye | | jab bhe qareeb aata hoon bataney kay liye
zindagi door rakhti hai sataney kay liye
Mehfiloun ki shaan na samjhnaa mujhay
mein to hansata hoon gham chupanay kay liye
in faasaloun ko na samjho meri bay wafai
mein door hoon tumse, paas aanay kay liye
mat jano haqeeqat meray in aansuoun ko
mein to roota hoon tumhein rulanay kay liye
koi gilla nahi hai mujhay apni barbadi ka
mein to khela tha aag say jal janay kay liye
ab duniya kuch bhe kahay, mujhay parwa nahi
mein to jeeta tha zindagi, marr janay kay liyee
__________________ Sara Shaher Hua Tha Jis k Jaanazay Main Shareek...
Tanhaiiyun k Khoof Se Wo Shaks Mar Gaya.... |