Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai | | Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
____________________ ____________________ ____
Khuwaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahataa hai
Aisii tanhaa-ii k mar jaane ko jii chaahataa hai
Ghar kii vehashat se larazataa hoon magar jaane kiyon
Shaam hotii hai to ghar jaane ko jee chaahataa hai
Doob jaa-uun to ko-ii mauj-e- nishaan tak na bataaye
Aisii nadii main utar jaane ko jee chaahataa hai
Kabhi mil jaaye to raste kii thakan jaag pade
Aisii manzil se guzar jaane ko jee chaahataa hai
Vahee paimaan jo kabhii jee ko Khush aayaa thaa bahut
Usii paimaan se mukar jaane ko jee chaahataa hai
Poet = Iftikhar arif
---------------------------------
MASHAAM SHAH (¨`·.·´¨)
`·.¸(¨`·.·´¨)
(¨`·.·´¨)¸.·´
`·.¸.·´ |