Ziker hota hai jahaan bhi merey afsaaney ka
Sadar derwaaza sa khulta hai kutub khaaney ka
Aik sannaataa dabey paaoon gayaa ho jaisey
Dil sey ik khouf sa guzra hai bicherjaaney ka
Bulbula phir sey chala paani main ghotey khaaney
Na samhajney ka isey waqt na samjhaaney ka
Main ney alfaaz to beejoon ki terhan chaant diye
Aisa meethaa tera andaaz thaa fermaaney ka
Kis ko rokey koi rastey main kahaan baat karey
Na to aaney ki khaber hai, na pata jaaney ka