Besabab baat badhaane kii zaroorat kiyaa hai | | Besabab baat badhaane kii zaroorat kiyaa hai
-------------------------------------------
Besabab baat badhaane kii zaroorat kiyaa hai
Ham Khafaa kab the manaane kii zaroorat kiyaa hai
Aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam
Aap jab hain to thikaane kii zaroorat kiyaa hai
Teraa koochaa, teraa daar, terii galii kaafii hai
Bethikaano ko thikaane kii zaroorat kiyaa hai
Dil se milane kii tamannaa hee nahin jab dil main
Haath se haath milaane kii zaroorat kiyaa hai
Rang aankhon ke liye khushboo hai damaagon ke liye
Phool ko haath lagaane kii zaroorat kiyaa hai
poet-shahid kabir
Last edited by mashamshah; 11-02-2007 at 08:29 PM.
Reason: Besabab baat badhaane kii zaroorat kiyaa hai
|