
11-02-2007, 10:17 AM
|
 | DIL ki Ragni | | | Join Date: Feb 2006 Location: Udass Nagrii
Posts: 4,892
Country: Tutorials:
0 Thanks: 24
Thanked 90 Times in 71 Posts
Nominated 1 Time in 1 Post TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 2374 | |
Kuch Kar Jain | |
Chaloo zulmat ka andha safar aasan kar jain
Kisi k kaam aain apni ankhain daan kar jain
Bohat din reh liya ess Jism mein ab erada hay
Yeh ghar khali karain ess shehar ko viraan kar jain
Hum aeisey log hain jo judaii k samandar mein
Har ik sahil ko ley dobain nagar sunsaan kar jain
Yeh sehraa zindgi ha hay yahaan saaey nehi miltey
Bala ki dhoop hay yaadoon ki chattri daan kar jain
Sawaey oun sey waqt-e-raukhsat aur kia kehtey ?
Humarey khab lota doh yehi ehsaan kar jain
Mata-e-maan hum apni jaeib mein rakhtey hain SAJID
Chaloo kuch diljaloon ki kaif ka samaan kar jain 
( Etabar SAJID ) |