Jab piyar nahin hai to bhula kiun nahin detay..!! | | Jab piyar nahin hai to bhula kiun nahin detay
Khat kis liye rakhay hain jala kiun nahin detay
Kis waastay likha hai hatheli pe mera naam
Main harf-e-ghalat hoon to mita kiun nahin detay
Lil-lah shab-o-roz ki uljhan se nikaalo
Tum meray nahi ho to bata kiun nahin detay
Reh reh kay na tarpao aye bay-dard maseeha
Hathon say mujhy zeher pila kiun nahin detay
Jab us ki wafaon pe yaqee’n tum ko nahin hai
Hasrat ko nigahon se gira kiun nahin detay |