rona aya | | hum Ko Tou Gardish-e Haalaat Pe Rona Aaya rone Waale Tujhe Kiss Baat Pe Ronaa Aaya kaise Marr Marr Ke Guzaree Hey Tumhe Kia Maaloom raat Bhar Taaroan Bharee Raat Pe Rona Aaya husn Ne Apnee Jafaaon Pe Bahaa-e Aansoo ishq Ko Apnee Sikayaat Pe Rona Aaya saif Ye Din Tou Qayamat Ke Tarhaa Guzraa Hey jane Kia Baat Hey Har Baat Pe Rona Aaya |