mujh ko tarsain gay mujhay chor k janay walay | | ab bulatay rahain so baar bulanay walay
ham dobara kabhi wapis nahi anay walay
kaash too bhi kaheen meri tarha jagta ho
meri ankhon se meri neend churanay walay
jo bhi hona hay so wo ho k rahay ga lakin
khush rahain log mere dil ko dukhanay walay
aaieena toot k jaisay nahi jurta waisay
phir kabhi lot k aatay nahi janay walay
dekhna jis ghari sachaai khulay gi un par
mujh ko tarsain gay mujhay chor k janay walay
kis ko maloom tha tabeer se pehlay 'yaar
khuaab ho jain gay khud khuaab dikhanay walay
__________________ Yasir |