justoojo | | main na mil sakoon jo tumse meri arzoo na karna tumhe meri hi kasam hai meri justoojo na karna mujhe jis se hai mohabbat ose hai ajab ye adat kabhi mo ko phair laina kabhi guftogo na karna maine chaha tha kisi ko mera haal kya hai daikho jo kiya kasoor maine wohi tum kaho na karna meri ho agar burai to na daina tum safai mere saath khud ko ruswa kabhi kobako na karna koi poche budnaseebi ki hai inteha bhi koi tu meri misaal daina tu mujhe namona karna |