Tere aane ka dhokaa saa raha hai !!!! | | tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
---------------------------------
tere aane kaa dhokaa saa rahaa hai
diyaa saa raat bhar jaltaa rahaa hai
ajab hai raat se aankhon kaa aalam,
ye dariyaa raat bhar charhtaa rahaa hai
sunaa hai raat bhar barsa hai baadal,
magar vo shah’r jo piyasaa rahaa hai?
vo ko’ii dost thaa achche dinon kaa,
jo pichhlii raat se yaad aa rahaa hai
kise Dhuundoge in galiyon main “Nasir”?
chalo ab ghar chalein, din jaa raha hai
Nasir Kazmi |