*1*- Faisal Husain
Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye
jab tak mere wajuud ke andar utar na jaaye
Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa
chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye
is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai
khokar mujhe ye ladakii kahiin dukh se mar na jaaye
palkon ko us kii apane dupatte se ponch duun
kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye
main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa
qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye
Umer Bher Gardeshoon Mein Qadam Rahe
Phir Bhi Na Aashnai Manzil Ham Rahe
Phir Taza Ho Aaj Rasm-e-Inkaar Mager !!
Zair-eLab Ik Halka Sa Tabassam Rahe
Phir Laboon Pe Tere Naam Ka Naghma Tehre
Paish-e-Neghah Tasawer Mujassam Rahe
Ik Zara Teri Yaad Ki Khushboo Mehke
Ta Dair Phir Qarya-e-Jaan Mein Matam Rahe
Aankhein Hi Darya Mezaaj Mili Hein Ham Ko
Naseeb-e-Daman Yahi He Ke Nam Rahe
Wo Aadam Hein Ke Jannat Badar Ho Ker Bhi
Be Lizzat-e-Khumar-e-Gandam Rahe
Umer Mohabbat Ki Is Se Kahein Kam He
Samne Sooraj Ke Jitni Dair Shabnam Rahe
Awargi Kab Kise Raas Aai Shaheen
Khayal-e-Pareshan Se Kaho Ke Tham Rahe<!-- google_ad_section_en d -->
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Faslay esay bi ho'ngay yeh Kabhi socha Na tha
Samnay betha tha Meray Aur Woh Mera Na Tha
Woh Kay Khushboo Ki Tarah Pheyla Tha Meray Chaar Sooo
Mein Ussay Mehsoos Kar Sakta Tha Shoo Sakta Na Tha
Ajj Uss Nay Dard Bi Apnay Alehda Kar Lieay
Ajj Mein Roya Tu Meray Sath Woh Roya Na tha<!-- google_ad_section_en d -->
Rahe hazaar baras ham-kanaar khushbu ka
Koi bhi rabt bane ga na khaar, khushbu ka
Bacha k laakh rakhein, hai nira zeyaaN is mein
Kise hai raas bhala kaarobaar khushbu ka !
Wo ap kam hai k baaloN mein gul liye ghoome !
Kise hai taab k jheile ye vaar khushbu ka
Meri zubaaN ko to jurrat kabhi nahi ho gi
Payaam-e-dil ! tu zara roop dhaar khushbu ka
Wo gul-azaar raha sair-e-baagh par jab tak
Kiye raha wo jia be-qaraar khushbu ka
Mehek jo tayre nafas se mere nafas aaee
Wohi raha hai safar yaadgaar khushbu ka
HawaayeN dil k kHanDar ki hui hain kaafoori
Ye zaayeqa hai kisi sogavaar khushbu ka
Sambhaal rakkhi hui pattiyaaN hain gajre ki
Meri bayaaz kahaaN ! hai mazaar khushbu ka
Mehek uThe hain tere she'r kis tarha Zaamil
Hua hai tujh pe asar khush-gavaar khushbu ka
Samandar main utarta hoon to aankhain bheeg jati hain
Teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
Tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab se
Koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain
Teri yadoon ki khushboo khirkion main raqs karti hay
Tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain
Na jane hoo gaya hoon is qadar hasaas main kab se
Kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain
Wo sab guzre howe lamhaat mujh koo yaad ate hain
tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain
Main sara din bauhat masroof rehta hoon magar joon hi
Qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain














