kab yaad mai teraa saath nahin!!!! | | kab yaad mai teraa saath nahin!!!!! ------*****-------@@@@----- kab yaad main teraa saath nahi kab haath main teraa haath nahi
sad shukr ke apnii raato'n main ab hijr kii koii raat nahi mushkil hai agar haalaat vaha'n dil bech aayein jaan day aayein
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaan main kiya aise bhii haalaat nahin maidaan-e-vafaa darbaar nahin yaha naam-o-nasab kii puuchh kahaan
aashiq to kisii kaa naam nahi kuchh ishq kisii kii zaat nahi gar baazii ishq ki baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gaye to kiya kehanaa haare bhii to baazi maat nahin ******--------*****-------@@@@--------******* |