Kabhi Bhi dUkh Pey Malal Karna Na Us Ko Aaya Na mUjh Ko Aaya
WafaaOn Ko La-Zawaal Karna Na Us Ko Aaya Na mUjh Ko Aaya
jO Faaslay Thay Unhien Mitana Agar-Cha dOnon Hii Chahtay Thay
Magar Ta'aluq Bahaal Karna Na Us Ko Aaya Na mUjh Ko Aaya
dUkhon Mein dOobii Sadaien Sun Kar Na wO Hii rOya Na Mein Hii Tarpa
Key rOoh Ko Mala-Maal Karna Na Us Ko Aaya Na mUjh Ko Aaya
dUa Key ROshan Chiragh Apnii HathailiyOn Par Jalaye hUm Nay
KHUDA Sey Lekin Sawaal Karna Na Us Ko Aaya Na mUjh Ko Aaya
~!! Saeed WasiQ !!~