Bahut Hua | | us ko judaa hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahain ye qissa purana bahut hua
ab hum hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara rabt barhana bahut hua
ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dain
is aashiqi main jaan se jana bahut hua
ab tak to dil ka dil se tarruf na ho saka
mana ki us se milnaa milana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bevafa ka zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kaha na bahut hua |