khayanat kabhi na ki | | hum nay to khair tujh se shikayat kabhi na ki
aisa nahi ke dil ne baghawat kabhi na ki
kis haal main hain tere sataye hoe ghareeb
tu nay ye poochnay ki bhi zehmat kabhi na ki
mehsoos kia karay ga woh auron ke dard ko
jis ne khud apne aap se ulfat kabhi na ki
phir faislay ka haq osay hasil hai kis tarah
rodad-e-ghum ki jis ne sama-at kabhi na ki
chaha hai main nay jis ko bari shiddaton ke saath
os tarah os ne mujh se muhabbat kabhi na ki
har dastan teri bari ghor se suni
lakin bayan apni hikayat kabhi na ki
ik khuwab tha ke apni shabon par raha muheet
kia khuwab tha, kisi ne wazahat kabhi na ki
ik aag thi ke jis main jaltay rahe umr bhar
ik dard tha ke jis main khayanat kabhi na ki |