aaya tha ghar sanwarnay ehsaan kar gaya | | aaya tha ghar sanwarnay ehsaan kar gaya
barbadioon ka aur bhi samaan kar gaya
aab tak rahi us k yaad meri zindagi k saath
do chaar pal k mujh s jo pehchaan kar gaya
ankhoon nay jiss k shauq main ratain sajaeen theen
khawaboon k anjuman wohi weraan kar gaya
jhonka naseem-e-subah ka aaya tu tha magar
gulshan k har kali ko paraishaan kar gaya |