View Single Post
  #1  
Old 09-13-2007, 10:26 AM
aakaash's Avatar
aakaash aakaash is offline
Member
 
Join Date: Jun 2005
Posts: 49

Tutorials: 0

Thanks: 17
Thanked 5 Times in 4 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts
TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 120
aakaash is on a distinguished road
Post Guzray Huay Waqt Say.....

Guzray huay waqt say mujhe gilla nahi raha
mein nay jis ko chaha woh mera nahi raha

dooor itna aa chuka hoon ishq kay safar mein
wapas laut janay ka aab rasta nahi raha

aashkon ka ek ghera taaza samandar hai aab
aankhon mein chahaat ka koi sapna nahi raha

apnon nay kuch aeisay tora dil ka aaina e ghar
aks baaqi hai magar koi aaina nahi raha

hassien pal jo mansoob thay zamanay nay chura liye
koi pal jeewan say aab wabasta nahi raha

woh bawafa tha yan bewafa yeh janay khuda magar
baad aus kay es sheir mein koi apna nahi raha

nafraton kay haaton looot chukein hain aaj kal
chahaat mein doooba hua koi rishta nahi raha

jab say nafrat nay nazar kholi humharay gharon pay
mohabaton ka woh guzra hua silsila nahi raha

jo dil say milla kartay thay kabhi es sheir mein
woh log nahi rahay aab woh milna nahi raha

sadyian huain phoolon ko murjhaye huay
dil ka gulshan bhi aab tuo hara nahi raha

aaina deikhoon tuo khud say keitha hoon aksar
aankhein nahi rahein phelay sa chera nahi raha

Zindagi say apna yaqeen uttha hai kuch es tarhan mani
Jeenay ka jeisay lagta hai aab khosla nahi raha
----------------------
THIS IS AAKAASH
LUV YOU ALL
__________________
@};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla
Reply With Quote