Ye kaun zindagi main udasiyan rakh gaya
Mere aangan main yadon ki titliyan rakh gaya
Aaya tha kuch dino ko, gaya hai sada ke liye
Kyun meri hayat main tanhayiyan rakh gaya
Tinka-tinka chunkar banaya tha aashiya.n
Usii shaak per woh zalim bijliyan rakh gaya
Aata hai yaad bahut humko, rote hai aksar
Kyun dil main ummedon ki bastiyan rakh gaya?