Ghazal
koi jab bhi hamare paas hoga
hame tanhayi ka ehsaas hoga
qalam karna hai sar rawan ka hamko
na jane kab hame banwaas hoga
chamak utthegi mazdooroN kee kismat
pasina aik din almaas hoga
hazaroN koshisheN kar le zamana
na ab ghalib na tulsidas hoga
na chodegi ghareebi zindagi bhar
na hoga kuch magar iflaas hoga
jhukaye ye jabeeN "ZEESHAN" honge
khuda-e-paak ka ijlaas hoga