mera aaNsoo terii palkoN se uthaaya jaaye | | ab to mazahab koii aisaa bhii chalaaya jaaye
jismen insaan ko, insaan banaaya jaaye
aag bahtii hai yahhaN gaNgaa meN, jhelam meN bhi
koii batlaaye kahaaN jaake nahaaya jaaye
jiskii khushboo se mahak utthe parhosii ka bhi ghar
phool iss kism kaa har simt khilaaya jaaye
pyaar kaa khoon huaa kyuoN yeh samajhne ke liye
har aNdhere ko ujaale meiN bulaaya jaaye
mere dukh-dard kaa tujh par ho asar kuchh aisaa
main rahooN bhookhaa to tujh se bhi na khaaya jaaye
jism do hoke bhii, dil ek hoN apne aise
mera aaNsoo terii palkoN se uthaaya jaaye |