Khuda Karye | | tu bhi kisi ka pyar na pae khuda karay
tujh ko tera naseeb rulae khuda karay
raaton main tujh ko neend na aae khuda karay
tu dar ba dar ki thokarain khae khuda karay
aae bahar teray gulistaan main baar baar
tujh par kabhi nikhaar na aae khuda karay
meri tarha tujhe bhi jawani main gham milain
tera na koi saath nibhaae khuda karay
manzil kabhi bhi piyaar ki tujh ko na mil sakay
tu bhi dua ko haath uthae khuda karay
tujh par shab e visaal ki raatain haram hoon
shammain jala jala k bhujae khuda karay
ho jaen bad duain meri dosto galat
aab unn pe koi harf na aae khuda karay
__________________ @};- Please update your Signature : Administrator HallaGulla |