mairi apni bhi sabhi wafaain ajeeb si hain | | mairi apni bhi sabhi wafaain ajeeb si hain
mohabtoon main ye intahaain ajeeb si hain
kabooliyet kay tammam rastay khulay hain laikin
mairay laboon pe sabhi duuaain ajeeb si hain
jo us nay mujh ko nahi bolaya to ro diya main
ajeeb hoo main,mairi anaain ajeeb si hain
usay mana kar kisi bahanay say rooth jana
phir us ka kehna kay ye adaain ajeeb si hain
usi pe rehtay to theek rehtay zain hum nay
jo ki hain tajweez sazaain ajeeb si hain.
__________________ Lamha-e-Hijr Ke Baad Aisi Adat Hui Viraniyon Ki ..Andheron Se Bahir Na Aa Sakey, Sar-e-Sham Hum Phir Deep Jala Na Sakey |