Teri khushboo nahin milti...Tera lehja nahin milta
Hamain tou sheher main koi tery jaisa nahin milta
Ye kis dhund main hum tum aaghaz-e-safar kar baithy
Hamian aankhain nahin milti tumhain chehra nahin milta
Har aik tadbeer apni raigan thehri mohabbat main
Kisi bhi khuwab ko tabeer ka rasta nahin milta
Bhala os k dukhon ki raat ka koi madawa hai
Wo maa jis ko kabhi khoya huwa baccha nahin milta
Zamany ko qareeny se wo apny saath rakhta hai
magar mery leye os ko koi lamha nahin milta
Musafat main dua-e-abar un ka saath daiti hai
Jinhain sehra k daman main koi darya nahin milta
Jahan zulmat ragon main apny panjy gaar daiti hai
Osi tareek rasty per diya jalta nahin milta
<!-- google_ad_section_en d -->