Re: Ghazal contest 4 the month of Augest 2007 | | Saat Suron ka behta darya Teray Naam Her Sur main ek rang dhanak ka Teray Naam Jungle jungle ronay walay sab mosam Aur hawa ka sabz dupatta Teray Naam HIJR ki sham akyli raat k khali dar Sobh-e-firaq ka zard ujala Teray Naam Tery bina jo umer bitai beet gaye Ab is umer ka baqi hissa Teray Naam Jitnay khoa'ab khuda nay meray naam likhay In khoa'abon ka resha rehsa Teray Naam |