Kia batla’ain kya kya dekha | | Ab kay safar main, tishna-labi main kia batla’ain kya kya dekha Sehra’on ki pyas bujhaatay darya’on ko pyaasa dekha Shayad wo bhi sard ruton kay chand si qismat laya ho ga Sheher ki bheer main aksar jis ko hum nay tanha tanha dekha Chara-garon ki qaid say chootay, tabeerain sub raakh hueen Ab kay dil main dard wo utra, ab kay khwab hi aisa dekha Dard ka tajir baant raha tha galiyon main majrooh tabassum Dil ki choat koi kia janay, zakhm ko aankh main gehra dekha Jis kay liye badnaam huay hum, aap to us say mil ker aaye Aap nay us ko kaisa paya, aap nay us ko kaisa dekha Kaisa shakhs tha zard ruton ki bheer main jub bhi saamnay aaya Us ko dhoop sa khilta paya, us ko phool sa khilta dekha Abr ki chadar taan kay jheel main saaton rang rachanay utra Moaj-e-aab ki teh main janay chand nay kis ka chehra dekha Teray baad hamaray haal ki her rut aap gawahi day gee Her mausam main apni aank main aik hi dard ka saya dekha Mohsin band kiwaar kay peechay chhup rahi hai sehmi shum’ain Jesay umr kay baad hawa nay meray ghar ka rasta dekha
__________________ HIJR WALON SAY BARI DAIR SAY SEEKHA HUM NA ZINDA REHNAY KAY LIYE JAAN SAY GUZARTAY REHNA |