Dasht o darya say guzarana ho k ghar main rahna | | Dasht o darya say guzarana ho k ghar main rahna
Aab to har haal main hai hum ko safar main rahna
Dil ko har pal kisi jaadu kay asar main rahna
Khud say niklay to kisi aor k dar main rahna
Shahar e gham!Daikh,teri aab o hwa khushk na ho
Raas aata hai usay deeda e tar main rahna
Faisalay saray usi kay hain hamari baabat
Ikhtiyaar apna bas itna k khabar main rahna
Koi khaatir na madarat na taqreeb e wisaal
Hum to bas chahatay hain tairi nazar main rahna
Raat bhr chaand mai daikha karoon surat uski
Suba ko aor hi soda mairay sir main rahna
Mai to hr chahry mai ab tk wohi chahra daikhoon
Usko har roz tamashaa e dagar main rahna
Wohi tanhaee,wohi dhoop,wohi bay sitmi!!!!
Ghar main rahna b howa,raaguzar main rahna
Tootna yoon to muqadar hai,magr kuch lamhay
Phool ki tarah mayasar ho shajar main rahna!!!
Har mulakaat kay baad ajnabiyat aor badhi
Us ko aaenay humain zaham e hunar main rahna Ghaas ki tarah jahan bhook uga karti ho
Itna aasan nahi shaakh e samar main rahna
Chaand ki aakhri raatoon main bohat laazim hy
Aik mitti ka diya raahguzar main rahna
Taher e jan k guzarnay say bada sanhiha hai
Shok e parwaaz ka tootay howay par main rahna
Koi Saifo ho k Meera ho k Parveen ,usay
Raas aata nahi chaand nagar main rahna!!!
__________________ [b]Tanhayiyon ne meri mujhse kaha hamesha...jab saath hai mera to kyu khoya sa rehta hai |