<<< shaayad abhii hai raakh >>> | | shaayad abhii hai raakh men ko_ii sharaar bhii
kyon varnaa intazaar bhii hai iztiraar bhii
dhyaan aa gayaa hai marg-e-dil-e-naamuraad kaa
milane ko mil gayaa hai sukuuN bhii qaraar bhii
ab DhuuNDhane chale ho musaafir ko dosto
hadd-e-nigaah tak na rahaa jab Gubaar bh
har aastaaN pe naasiyaa_farsaa hain aaj vo
jo kal na kar sake the teraa intazaar bhi
[ik raah ruk ga_ii to ThiThak kyon ga_ii 'Ada'
aabaad bastiyaaN hain pahaaron ke paar bhii |