Sata sata k hamen ashk-baar karti hay | | Sata sata k hamen ashk-baar karti hay
Tumhari yaad bohut be-qarar karti hay
Wo din jo sath guzaray thay pyar k hum nay
Talash un ko nazar bar bar karti hay
Gila nahin jo naseebon nay kar diya hay juda
Teri judai bhi ab ham ko pyar karti hay
Kinaray baith k jis k kiye the qaul-o-qarar
Nadi wo ab bhi tera intizar karti hay |