~~~~huwa chiraag to ghar hi jala gya ik shakhs~~~~
Banaa gulaab to kaantain chuba gya ik shakhs......
huwa chiraag to ghar hi jala gya ik shakhs...... ......
tamaam rang marey aur saare Khuwaab marey....... ...
fasaanaa keh k fasaanaa bana gya ik shakhs...... ....
main kis hawaa main udu kis fiza main lehraoon.... .
dukhoon ka jaal har-suu bicha gya ik shakhs...... ....
palat sakoon main na aage badh sakoon jis par......... ..
mujhe ye kaun se raaste laga gya ik shakhs...... .........
mohabbat bhi ajeeb us ki, nafrat bhi kamaal...... ..
meri tarha ka he mujh main samaa gya ik shakhs...... ...
wo mehtaab tha marham-baa-dast aaya tha......... ....
magar kuch aur siwa dil dukhaa gya ik shakhs...... ..
khula ye raaz ke Aaina-Khaanaa hai dunya....... ......... ...
aur is main mujh ko tamaasha bana gya ik shakhs...