:: Kal Ki Tarhan :: | | Aaj ki raat bhi guzri hay meri kal ki tarhan
Haath aaye na sitaray terat aanchal ki tarhan
Raat jalti hoye ik aaisi chita hay jis par
Teri yaden hain sulagtay hoye sandal ki tarhan
Tu k darya hay magar meri tarhan pyasa hay
Main teray pas chala aaonn ga badal ki tarhan
Main hon ik Khoa'ab magar jagati aankhon ka Ameer
Aaj bhi log ganwa dain na mujhe kal ki tarhan |