Woh Apney Ishq Mein Kaisa Kamaal Rakhta Hai | | Woh Apney Ishq Mein Kaisa Kamaal Rakhta Hai
Kay Be-Rukhi Mein Bhi Mera Khayaal Rakhta Hai
Jo Aaj Mera Nahien Hai Woh Kal Mera Ho Gaa
Kay Har Zamaana Uroj-o-Zawaal Rakhta Hai
Ajab Nahien Woh Jahaan Bhar Ko Beywafa Samjhe
Nazar Mein Meri Wafa Ki Misaal Rakhta Hai
Kahaan Talak Koi Dast-e-Karam Ko Zehmat Dey
Tamaam Shaher Hi Dast-e-Sawaal Rakhta Hai
Meri UrDaan Kay Aagay Hai Kis Qadar Bey-Bas
Yeh Aasmaan Jo Sitaaroon Ka Jaal Rakhta Hai
Tera Khayaal Hi Kuch Meherbaan Hai Warnaa
Jahaan Mein Koun Kisi Ka Khayaal Rakhta Hai
--------------------------------------------- ay butt tarash!ishq ko hairat men dal day
pather ki aankh say koi ansoo nikal day |