Zamanay beet jatey hain! | | Kabhi nazrain milanay mein zamanay beet jatay hein
Kabhi nazrain churanay mein zamanay beet jatay hein Kisi ki aankh khulti hai tou wo bhi sonay ki nagri mein
Kisi ko ghar bananay mein zamanay beet jatay hein Kabhi ghar say nikaltay hi nazar aa jati hai manzil
Kabhi manzil ko panay mein zamanay beet jatay hein Jinhain hum bhool jatay hein wo kyun ker yaad aatay hein
Unhain phir say bhulanay mein zamanay beet jatay hein Kabhi ik pal brabar bun k sadian beet jatay hein
Kabhi ik pal bitanay mein zamanay beet jatay hein! |