mere qariib na aao ki main sharaabii huuN
meraa sha_uuf jagaao ki main sharaabii huuN
zamaane bhar kii nigaahon se gir chukaa huu.N main
nazar se tum na giraao ki main sharaabii huuN
ye arz karataa huuN gir ke Khuluus vaalo.n se
uThaa sako to uThaao ki mai.n sharaabii huuN
tumhaarii aaNkh se bhar luu.N suruur aaNkhon men
nazar nazar se milaao ki main sharaabii huuN