<< Apna Gham Lay Kar >> | | Apna Gham lay k kahin aur na jaya jaye
Ghar main bikhari hoye chezon ko sajaya jaye
Jin chiraghon ko havaon ka koi Khof nahin
Un chiraghon ko havaon say bachaya jaye
Bagh main janay k aadab hua karate hain
Kisi titali ko na phulon say urayaa jaye
Khud kushi karnay ki himmat nahin hoti sab main
Aur kuch din yun hi auron ko sataya jaye
Ghar se masjid hay bahot dour chalo yun kar lain
Kisi rotay hoye bacchay ko hansaya jaye
(Nida Fazli)
Last edited by msalman; 01-16-2007 at 09:35 AM.
|