
12-17-2006, 05:24 PM
|
 | gurl wid n aTTitude | | | Join Date: Aug 2004 Location: cHaL ReiN DaY
Posts: 47,169
Country: Tutorials:
0 Thanks: 0
Thanked 0 Times in 0 Posts
Nominated 0 Times in 0 Posts TOTW/F/M Award(s): 0
Rep Power: 2960 | |
by bashir badar | |  1
parakhana matt parkhanay mein koiee apna nahee rehta
khabhi bhee aainay main dair tak chahra nahee rehta
baray loogon say milnay main hamesha fasala rakhana
jahan darya samundar say milla darya nahee rehta
hazaroon shair meray soo gaiee khaghaz ki kabroon mein
ajab maan hoon koiee bacha mera zinda nahee rehta
tumhara shehar tu bilqul naiee andaaz wala hai
humaray shehar mein bhee ab koi hum saa nahee rehtaa
muhabat aaik khushboo hai hamesha saath chalti hai
koi insaan tanhaiee main bhee tanhaa nahee rehtaa
koi badal haray mousam ka phir elan karta hai
khizaan kay bagh mian jub aaik bhee pata nahee rehtaa
bashir badar
__________________ 2 c mIz wOrLd click on the emoticon ===>  |